|
#112
|
||||
|
||||
|
Mast update diya hai bhai ne nd apka name kya hai bhai
|
|
#114
|
|||
|
|||
|
Bhai vijay -vikas series ke novel to bahut padhe par paper me net par nahi thanks bhai
|
|
#115
|
|||
|
|||
|
Update "26"
"vikas! Vikas!" kisi ke pukarne ki aawaj vikas ke kano me gunji. Pahale to use yu laga ki jaise wh swapn dekh raha hai. Kothari ke andar patthar ke us chabutare par lete-lete jane kab aankh lag gai thi. Jab use punh pukara gaya to usne aankhe khol di. Uski najar sidhi darwaje ke par gaillary me khade alfanse aur aasha par padi. Unhe dekhate hi vikas uchhal pada, kintu tabhi use khayal aaya ki agar wh chabutare se hata to kothari ka darwaja band ho jayega. Ath tithaka, chabutare par baitha hua hi bola-"guru aap?" "han." gaillary me khade alfanse ne kaha-"wahan kyo lete ho tum? Bahar aao." "m-mai yahan quid hun guru!" vikas ke muh se nikal gaya. "q-quid?" "han." "ye majak ka samay nahi hai vikas. Jaldi aao." "m-magar guru.... Mai sachmuch yahan quid hun." "kaisi baten kar rahe ho?" alfanse jhunjhalaya-"darwaja khula hai. Tumhe kishi ne pakad bhi nahi rakha hai. Hath -pair bhi khule hai. Fir bhi tum bhala is kothari se bahar aane me kya dikkat ho sakati hai?" Fir dher sare vichaon ki ek bijali -si kaundh gai vikas ke jehan me, bola-"ab kya tumane mujhe itana bewkuf samajh rakha hai Dada guru ki aapke makeup ke jhanse me aakar mai chakravyuh me fas gaya, usi makeup ke jhanse me aakar kisi nayee musibat me fas jaunga?" "nahi vikas!" alfanse ne kaha-"tum galat samajh rahe ho. Mai jacki nahi, alfanse hun. Tum aasha se puchh sakate ho. Mai janta hu ki jacki tumhe bharat se apani kothari tak mere makeup me laya tha. Magar...." "ye aasha bhi to tumhari banayee hui ho sakati hai." "o-of-oh!" kahata hua alfanse kothari ke darwaje ki taraf badh gaya. Aisa karte samay satarkata ke nate usne aasha ko wahi rukane ka sanket diya tha. Magar khud nahi janta tha ki gallary aur kothari ke bich ka darwaja par karne ke sath hi wh kaishi jabaradust musibat me fas gaya hai. Vikas satark ho gaya. Uske najadik pahuchata hua alfanse bola-"yakin karo vikas, mai jaicki nahi." Magar vikas ne uska waqy pura hone se pahale hi chabutare pr baithe-baithe alfance ka hath pakada aur bijali ki-si tezi ke sath ek jhatake se apani taraf khincha. Sambhalne ki lakh chestao ke bawjud bhi alfanse chabutare par ja gira aur thik yahi kshan tha, jabaki hawa me laharata hua vikas ka jism kothari ke darwaje ke par gaillary me ja gira. Ek krhan matra ke liye to alfanse ki samajh me kuch aaya hi nahi. Fir wah furti ke sath chabutare se utha. Uska chabutare uthana tha ki khatak se kamare ka darwaja band ho gaya. Alfanse jaisa vyakti bhi chakara gaya. |
|
#116
|
|||
|
|||
|
Alfanse jaisa vykti bhi chakara gaya.
Uske deemag me yh vichar kaundha ki satark hone ke bawjud wh fas gaya hai. Sara chakkar badi tezi se uske mastisk me ghum gaya. Wh jaldi se chabutare par baitha. Sarsarahat ke sath darwaja khul gaya. Samne aasha aur vikas the. Aasha ke chehare par abhi tak hairat ke cinh the jabki vikas ke hotho par ek chanchal muskurahat. Alfanse chikha-"ye vikas nahi hai aasha! Isse bacho." Yahi kshan tha, jabki aasha ne badi furti se dhum kr vikas ki garadan par karate ka war kia. Vikas ne badi tezi se khud ko bachaya aur yah war uchatata hua-sa uski gardan par pada. Jhapat kar vikas ne aasha ki danyee kalai pakadi. Umethi aur aasha ek cheekh ke sath ghumati chali gai. Kalai ka kohani se niche ka bhag uski pith se chipak gaya. Pith par uski kalai vikas ne pakad rakhi thi. Kothari ke andar lachar -sa chabutare par baitha alfanse aasha ko vikas ke changul me fasate dekhane ke alawa aur kar bhi kya sakata tha? Wh samajh gaya tha ki uske chabutare se uthate hi darwaja band ho jayega. Jabki aasha ko kabje me kiye vikas ne kaha-"mai samajha tha ki aap jaicki guru hai, lekin ab jabki aap us kothari me fas gaye hai-mujhe yakeen ho gaya hai ki aap crimmer uncle hi hai. Jaicki guru hote to we kabhi bhi kothari me kadam nahi rakhate, kyoki yh sab kuch unhi ka to banaya hua hai." "m-magar kya tum sachmuch vikas ho?" "solah aane." "fir tumne yh utpatang haraqat kyon ki?" "kshama kare crimmer uncle!" vikas ne chanchal muskurahat ke sath kaha-"ye utpatang haraqat mujhe karani padi. Is kothari ki karigari to ab aapki samajh me aahi gai hai. mamla kuch aisa hai ki kam-se-kam ek aadmi kothari me aawashya quid rahega. Mai bahut der se quhd tha. Bore bhi ho raha tha. Waise bhi chakravyuh me aage mai hi badh sakata hun. Aap nahi. Ath is kothari me aap hi rahe to jyada behatar hai." "ohhh! "ab agar ijajat ho to mai aasha aanty ko chhod du. Bechari vyarth hi kast utha rahi hai." "chhod do." Vikas ne aasha ko kabje se chhod diya aur alfanse se bola-"dekhata hun crimmer uncle-agar is chakravyuh me mujhe kahi koi bhari patathar mila to is kothari tak jarur lautunga." "agar nahi mila to?" "is quid se mujhe bahar nikalane ka shukrhya." kahkaq vikash darwaje ke samne se hat gaya. Continue. Last edited by Dangerus 83 : 17th December 2012 at 02:08 PM. |
|
#118
|
||||
|
||||
|
Ved prakash g ki story bhe padhne ko milegi exbii.par.bahut badhiya.
|
|
#120
|
||||
|
||||
|
Han bhai ye baat toh ha exbii.par bahut kuch mil jata ha
|